Sex in Islam Dua Quran Hadees

Sex in Isalam Suhagraat ka tarika Urdu Quran Hadith

Sex Positions In Islam Quran Hadith - Urdu Hindi

Sex Positions In Islam Quran Hadith - Urdu Hindi


Suhagraat ka tarika Complete Islam
Sex Positions In Islam Quran Hadith - Urdu Hindi

Sex in Islam Dua Quran Hadith - Urdu Hindi


Sex Positions In Islam Quran Hadith - Urdu Hindi
 "Tumhari biwiyan tumhari khait hain. So apney khait mein jis taraf sey chaho aaoo. Jis jagha Allah nay tum ko ejazat di hai". (Quran Baqrah 28)
    Isi tarhan Abdullah Ibn-e-Abbas sey riwayat hai kay ek din Hazrat Omar Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ki khidmat mein hazir huey aur arz ki kay aey Allah kay Rasool Hazrat Muhammad (P.B.U.H) mein barbaad hogaya. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya tum kyun barbaad hogaey. Arz ki:  Raat mein ney apni sawari ka kajawah palat diya. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney jawab naa diya. To yeh ayat-e-karema nazil hui. " Tumhari aurtein tumhari khaiti hain. To tum apni khaiti mein jis tarha chaho aa saktey ho".

    Ek aur hadees hai. Hazrat Jabir beyan kartey hain kay yahodiyon ka kehna hai kay agar koi shohar apni biwi sey peechey ki taraf reh kar mubashrat (sex)  karey to aisi surat mein bhainga bacha paida hoga. Tumhari biwiyan tumhari khaitiyan hain. Tum apni khwahish kay mutabiq apni khaiti mein jao". (Muslim)

    Hazrat Hafsa sey riwayat hai kay aik khatoon nay unn sey shekayat ki kay enka shohar ussey pehloo kay bal leta kar mubashrat karta hai. Jab Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey pucha gaya to Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay koi harj nahi. Agar sorakh aik tak mahdod ho. (Masnaad Emam Abu Hanefa)

    Inn ahadees sey maloom hota hai kay Allah kay nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay daur mein Madina mein mubashrat (sex)  kay ek sey zyada tariqey raej thay.

Sex Positions In Islam - Islam Mein Mubashrat Kay Tariqey


================================